Hazrat Qazi Syed Sadruddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ)

Mazar Shareef Hazrat Qazi Syed Ruknuddin Madni r.a

Mazar Shareef  Hazrat Qazi Syed Ruknuddin Madni r.a wa Hazrat Qazi Syed Sadruddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ)

Scan0016Scan0017

Hazrat Qazi Syed Sadruddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ)

Hazrat Syed Sadruddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) bin Qazi Syed Ruknuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) bin Syed Nizamuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) bin Hazrat Syed Ameer Kabir Qutubudin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) woh ilm wa fazl aur sulook wa marifat dono mein dastgah kamil rakhte the’n. Neez zuhad wa taqwa shujaat wa sakhawat, aesar wa taura mein apne walid aur dada ke naqsheqadam par the’n. Hazrat Syed Sadruddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ko Allah ta’ala ne aulad e saleh se nawaza inki nasal mein Hazrat Fazlullah Goshai’n Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) jaise buzurg hai’n jinhone Kada se muntaqil ho kar Mohalla Baradari manmahelaat sooba Bihar mein sukoonat akhtiyar kar li thi. aur waha’n inki zaat marjae khalayak ban gayi thi.inki chati pusht mein ek buzurg Hazrat Syed Shah Muhammad Taqi jinko darwesh e beriya ke naam se yaad kiya jaata hai. Apne asr ke mashahir ulema aur sahibe silsila mashaekh mein the’n. Badshah Farruq siyaar in ka shagird aur mureed tha. aur inka silsila iss nawah mein abhi bhi baaqi hai. Inke alawa Hazrat Syed Sadruddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ke silsilae aulad mein Syed Shah Muhammad Ismail Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) (maurise sadaat e qutbia Kurra sadaat) aur inke jalilul qadr farzand Syed Shah Jalaluddin Jalal Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) wa Syed Shah Muhammad Saleh Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) (maurise sadaat e qutbia Fatehpur) wa Qazi  Syed Hasan (رحمتہ اللہ علیہ) (maurise sadaat e qutbia Ajhwa wa rasoolpur) wa Syed Shah Khaleel Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) (maurise sadaat e qutbia paati gali Manikpur) wa Syed Faizullah Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) (maurise sadaat e qutbia mauza kaurali Allahabad) wa Syed Qutubuddin Saani (رحمتہ اللہ علیہ) (maurise sadaat e qutbia jais wa nasirabad wa Takia Raibarelly wa Tonk Rajasthan wa dalmau) jaise ulema wa Aulia nazar aate hai’n.

Hazrat Syed Sadruddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) apne waalide buzurgwar Qazi Syed Ruknuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ke baad Qazi e Shaher Kada rahe’n aur wahi’n aap ka wisal hua aur apne waalide buzurgwar ke pahlu mein supurde khaak hue’n.

Ba Hawala Tareekh Aaina-e-Awadh Hazrat Syed Ameer Kabir Qutubudin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ki aulad inke wisal san 677 hijri ke 220 saal yaani san 897 hijri mutabiq 1492 eiswi ba ahad Sultan Sikandar Lodhi tak Kada mein izzat wa neknaami ki zinadgi basar karti rahi jin mein se zyadatar afraad apne ilm wa fazl aur taqwa wa taharat ke bina par mukhtalif maqamaat par mansabe qaza par yake baad deegre fa’ez hote rahe’n hain. iss lambe arse mein ek jagah se dusri jagah muntaqil hone ke sabab bhale he khandane risalat ki kuch azimat baaqi na rahi thi phir bhi sadaat e qutbiya ko is qadar jaah wa hashmat hasil thi ki hazaro mauza bataur jageer wa maafi inke kabze mein thi aur 700 palki nasheen inke khidmat mein shumaar hote the’n.

Advertisement