Apne walid Hazrat Qazi Syed Qutubuddin saani Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ke baad Badaun ke Qazi Hue’n.Aap bhi apne aabojad ke tarah kamal e Taqwa wa ahtiyat e deeni hamiyat adab e shariyat aur digar ausaf mein mumtaz maqaam ke malik the’n.chunanche aap done ke mutalliq Qazi Ziauddin Barni (رحمتہ اللہ علیہ) ne Tareekh Firozshahi mein Hazrat Qazi Syed Tajuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ke zikr ke baad kuch in alfazo’n mein zikr kiya hai.
Hazrat Syed Qazi Tajuddin (رحمتہ اللہ علیہ) ka Khanwada muddato’n Baduan mein raha aur waha’n ka Qazaya aap ki aulad ke supurd raha aap ki chati pusht mein aap ke ham naam Hazrat Tajuddin saani (رحمتہ اللہ علیہ) ko ahad e Badshah Babur mein 4 lakh ki jageer mili aur ye Khanwada Sigdi Tahsil Zila Azamgarh mein Jainpur ke nazdeeq ek basti Danapur mein ja basa.Phir wahan se ye Qafila aage badah tu iski ek shakh Baxur ke nazdeeq ek basti Turk chakiya mein muqeem huwa aur dusri shakh Sikandpur zila Baliya chali aai.