Hazrat Qazi Syed Abdul Hakim(رحمتہ اللہ علیہ)

Hazrat  Qazi Syed Abdul Hakim (رحمتہ اللہ علیہ) san 1207 hijri mein bamaqam Aamdari paida hue’n.riwayat hai ke bachpan mein inke walid ka inteqal hogaya tha isliye inki sari talim wa tarbiyat inke Dada Syed Ghulam Ashraf (رحمتہ اللہ علیہ) ne ki.natejatan woh apne dada ke haath par bait hue’n aur khalafat payi aur dada ke wisal ke baad inke sajjada par baithne ka sharf hasil kiya.Aap Deen aur Duniya dono ke jaame the’n.Baliya,Ghazipur aur Banaras ke aeteraf mein aap ke bahut mureed the’n.inki shaadi Mulayma Bibi dukhtar Syed Abdul samad sahab se katkoli mein hui. jin se Qazi Syed Ali Haq paida hue’n. 17 safar ko aap ka wisaal hua .Mauza Aamdari zila Baliya mein Aap ka Mazar maujood hai.

Advertisement