Hazrat Mir Syed Ali Naqi(رحمتہ اللہ علیہ)

Bahawala Zahoor e Qutbi ,Tareekh Aainae Awadh 

Aap Mir Adli ohade par mamur the’n.aur akhir tak sakin Kada rahe’n.inke ek bete Mir Adal Syed Abdul Rahim hue’n .inke ek bete Mir Adal Syed  Haider hue’n inke do pisar Syed Muhammad Panah wa Mir Adal  Syed Ziaullah hue’n.Syed Muhammad Panah lawald faut hue’n.Jabki Mir Adal Syed Ziaullah Qutbi ki ek sahabzadi bibi Syeda Sehatunnisa hui’n.jo biyah kar Kurra Sadaat mein Hazrat Syed Karim Baksh bin Syed Muhammad Hashim ke ghar aai’n.Mir Adali ka ohda Syed Ziaullah tak qayam raha. Ba Riwayat Syed Abul Hasan Shaheed r.a (Maullif Tareekh Aainae Awadh) inke zamana tak yani 1880 eiswi  tak  inlogo ke pukhta makanaat ke aasaar Qutbi Mohalla Kada mein maujood the’n. Magar ab wo sab Khet Khaliyan ho chuke hai’n.

Shajra Aulad Mir Syed Ali Naqi (Waris Qutbi Mohalla Kada UP)

  1. Mir Adal Syed Ali Naqi 
  2. Mir Adal Syed Abdul Rahim
  3. Mir Adal Syed  Haider
  4. 4.1  Syed Muhammad Panah(Lawald)  4.2 Mir Adal Syed Ziaullah 
  5. Bibi Syeda Sehatunnisa (Zauja Hazrat Syed Karim Baksh Qutbi r.a) (inhi ke aulado’n mein Syed Qutubuddin Muhammad Aquib Qutbi quddasirrahul aali jo waris qutbi mohalla aur sajjada nasheen aastana e aaliya qutbiya kabeeriya kada hain.)
Advertisement