Maulana Hakim Syed Abdul hai (رحمتہ اللہ علیہ) ke walid majid aur Maulana Syed Abdul Ali Nasirabadi (رحمتہ اللہ علیہ) ke sahabzade apne zamane ke jalilulqadr Urdu Farsi language ke musannif wa shayar the’n khayali takhallus Tasaneef ka ek daftar bepaya’n yaadgaar chhoda jis mein Mehere Jahantaab (Farsi) khususiyat se qabile zikr hai jiski pahli jild 1300 safo’n par tamam hui hai. alawa az ye ki Seerat us Sadaat bhi inki mashoor kitab hai. puri umr gumnami zohdoqanat mein aur ilmi khidmat mein guzari. Baet aur Khalfat apne Phupha Imam e Rabbani Maulana Syed Khawaja Ahmad Qutbi Nasirabadi r.a se hasil ki jo zakir aur shaghil buzurg the’n. Intiqal ke waqt bawajood is natawani kaan laga kar sunna dushwar tha Qalb is qadr jari tha ki door tak Allah Allah ki awaaz aa rahi thi. san 1326 hijri mein wafaat pai shorae urdu ke tazkirah mein Gul Rana mein aap ke halaat wa qalam ka namoona hai. inki shaadi Haswa mein Syeda Azizun nisa bibi dukhtar maulana Syed Sirajuddin se hue jo apne waqt ke bade aalim wa shaikh tareeqat the’n. Aap ke ek Laiq farzand Syed Abdul hai hasni (رحمتہ اللہ علیہ) hue’n.