Ba Hawala Kitab Zahoor e Qutbi, Tareekh Aaina Awadh, Seeratus Sadaat, Nuzhatul Khawatir
Kada se uth kar Bihar mein sukunat akhtiyar ki. wo Majzoob aur saalik the’n. Bihar ka raja inka Mautqid hokar apni zabaan mein taziman inhe’n Goshai’n kahta tha aur Goshai’n hindustan ki zabaan mein Taarikut duniya ko kahte hai’n.
Hazrat Fazlullah Goshai’n Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) Majzoob saalik ibn Syed Nasiruddin ganj ilm ibn Syed Hasan ibn Syed Ali Shah ibn Syed Bade Majzoob ibn Syed Qayamuddin ibn Syed Sadruddin ibn Syed Ruqnuddin ibn Syed Nizamuddin Hasan (رحمتہ اللہ علیہ) ibn Syed Ameer Kabir Qutubuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ)
Aap Hazrat Makhdoom Bandagi Qutubuddin beena e dil Qadri Jaunpuri ki damadi aur amzaad ke rishte se pahle jaunpur tashreef le gaye’n phir wahan se muntaqil ho kar Mohalla Baradari Bihar jo ab Zila hai sakin hue’n. In ke aane ki barkat aur dua se iss jagah ke raja ke ghar mein jo aulad se mehroom tha farzande nareena(Beta) paida huwa. Iss wajah se woh Raja maye apne reaaya aap ko aqeedatan Goshai’n ji kehne laga. Aur akhir isi laqab se aap mashoor hue’n.
Sahibe Nuzhatul Khawatir inke mutalliq raqmtaraz hai’n
Hazrat Shah Fazlullah Goshai’n Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ke farzand Hazrat Syed Shah Mahmood huwe aur inke Hazrat Syed Shah Naseeruddin aur inke Hazrat Syed Shah Rafiuddin aur inke Hazrat Syed Shah Muhammad Muttaqi aur inke Hazrat Syed Shah Muhammad Taqi aur inke Hazrat Syed Shah Naqi (Darwesh e be riya) aur inke Hazrat Syed Shah khaleel Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) yake baad deegre sajjadanasheen wa janasheen apne walid buzurgwaar ke hokar apne rushdo irshad noor zahiro baatin se ek aalam ko munawwar karte rahen hain.
Hazrat Shah Fazlullah Goshai’n Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ki aulad hamesha zaahiri eqtedaar aur baatni rushdo hidayat ki wajah se muazziz wa mumtaaz rahi hai. iss elaqe ke sheikho sadaat in se rishtedaari ko fakhr jaante rahe hai’n. Muhammad Farrukh siyar san (1713 se 1718) eiswi wa Ahmad Shah (1748 se 1752) wa Azeezuddin Alamgeer Saani (1752 se 1759) wa Aaligohar Shah Aalam (1759 se 1760) Shahane dehli ke ahed mein inki aulad mein se Syed Qutub Al Aqtaab Khan wa Syed Ghaus Al Aazam Khan wa Syed Mohiuddin Khan Tamgha e jageer wa khitaabkhani se sarfaraz hote rahe. Azeemoshaan wa Farrukh siyar dono baap beto ne bapase sayadat Syed sahab ki Khankah mein pure aezaz ke sath hazir ho kar Hazrat Shah Khaleelullah wa Hazrat Shah Muhammad Naqi (رحمتہ اللہ علیہ) ki ziyarat se musharraf huwa. Aur Farrukh siyar Hazrat Shah Muhammad Naqi (رحمتہ اللہ علیہ) ka Mureed hogaya Angreezi hukumat ke amaldari mein ye log apne sabiq khandani aezaz ke peshe nazar angreezi hukkam ke samne kam hazir huwe.inke ekhlaf mein Hazrat Shaikh Nizamuddin (رحمتہ اللہ علیہ) huwe jo sahibe Aulad rahe’n jinse aulado’n ka silsila qayam raha.