Imam Hasan Mujtaba (عليه السلام)‎ Ki Shahadat Par Muhammad Hanafiyyah Ka Marsiya Padhna.

Imam Hasan Mujtaba (عليه السلام)‎ Ki Shahadat Par Muhammad Hanafiyyah Ka Marsiya Padhna

Abu Al-Hasan Bin Hussain Bin Ali Al-Mas’oodi Al-Mutawaffa San 346 Hijri Apni Shohra-e Aafaaq Arabi Kitab “Murooj Al-Dhahab Wa-Ma’adin Al-Jawhar” Me Raqam-Taraaz Hain:

Ameerul Momineen Hazrat Imam Hasan (عليه السلام)‎ Kee Tadfeen Ke Baa’d Aap Ke Bhai Muhammad Hanafiyyah (رضي الله عنه‎) Ne Un Kee Qabr Par Khade Ho Kar Bataur Marsiya Yeh Kaha:

Aap Kee Zindagi Aur Maut Dono Baa Waqaar Rahe’n, Aap Ke Kafan Se Aap Kee Paak Rooh Kee Khushbu Aa Rahi Thi Is Liye Ki Woh Aap Ke Taahir Jism Par Tha, Aisa Kyoo’n Na Hota Jab Ki Aap Baa Hidaayat Aur Ek Mutaqqi Baap Ke Bete They, Aap Ahle Kisa’ Ke Paanchwe’n Fard They Aap Ne Hamesha Akle Halaal Par Guzar Basar Kee Balki Aap Kee Razaa’at Bhi Imaan Hee Ka Ek Juzw Thi. Dar-Haqiqat Aap Kee Hayaat Kee Tarh Aap Kee Maut Bhi Tayyib-o Pakiza Hu’i (Ya’ni Jis Tarh Aap Zindagi Ke Har Daur Me Muskuraate Rahe Usi Tarh Muskuraate Hu’e Apne Maalike Haqiqi Se Jaa Mile) Lekin Aey Aba Muhammad‎! Hame’n Aap Kee Judaa’i Hamesha Tadpaati Rahegi, Allah Aap Par Rahm Farmaye.

Is Ke Baa’d Al-Mas’oodi Likhte Hain:

Abu Al-Hasan Bin Muhammad Bin Sulayman Nawfal Kee Kitab “Al-Akhbar” Ke Mutaala’a Ke Baa’d Ahle Bayt Ke Baare Me Jo Riwaayaat Mere Nazar Se Guzri Hain Un Ke Mutaabiq Muhammad Hanafiyyah Ne Imam Hasan Bin Ali Bin Abi Talib (عليهم السلام‎) Kee Qabr Par Khade Ho Kar Jo Alfaaz Farmaa’e They Woh Darje Zail Hain:

“Aey Aba Muhammad ! Aap Kee Zindagi Paakiza Aur Muskuraate Guzri Lekin Aap Ke Rehlat Par Log Girya Kuna’n Hain Kyun Ki Aap Khaamise Ahle Kisa’, ibn Muhammad Mustafa(صلى الله عليه وآله وسلم) ‎‎, ibn Ali Murtaza(کرم اللہ تعالیٰ وجہہ الکریم‎), ibn Fatimah Zahra (سلام الله علیها)‎ Aur ibn Shajare Tooba They.

Is Ke Baa’d Muhammad Hanafiyyah Ne Imam Hasan Mujtaba (عليه السلام)‎ Kee Qabr Par Khade Hee Khade Fi-Al-Badeeha Kuchh Ash’aar Bhi Padhe Jin Me Unhone Apne Bhai Imam Hasan Ke Faza’il Bayaan Karne Ke Baa’d Un Kee Wafaat Ko Ek Bohat Bada Haadesa Aur Ahle Islam Ke Liye Naaqaabile Talaafi Nuqsaan Qaraar Diya Tha.”

– References
[ Mas’oodi Fi Murooj Al-Dhahab Wa-Ma’adin Al-Jawhar, 02/364, 365,
Sibt Ibn Al-Jawzi Fi Tadhkirat Al-Khawass, / 213_214 ]

28 Safar Youm e Shahdat Imam Aali Muqaam Sayyadina Imam Hasan e Mujtaba Alaihissalam

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s