
“Hazrat Imam Ali Bin Abi
Talib (عليهم الصلاة والسلام) Bayan Karte
Hain Ki Imam ul Ambiya Muhammad
Mustafa (صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ)
Ne Hasan Aur Hussain (عَلَيْهِمَا السَلَام)
Ka Haath Pakda Aur Farmaya :
Jis Ne Mujh Se Aur In Dono’n Se
Muhabbat Kee Aur In Ke Waalid (Ali)
Se Aur In Kee Waalidah (Fatimah) Se
Muhabbat Kee Woh Qiyaamat Ke Din
Mere Saath Mere Hee Thikaane Par
Hoga.” Is Hadith Ko Imam Tirmidhi
Aur Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.
Reference :
[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahi, 05/641, Raqam-3733.]


“Hazrat Abdullah Bin
Mas’ood (رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا)
Se Riwayat Hai Ki Imam ul Ambiya
Muhammad Mustafa (صلى الله عليه وآله وسلم)
Hasnayn Karimayn (عليهم الصلاة والسلام)
Paas Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) Kee
Pusht Mubarak Par Sawaar Ho Gaye.
Logo’n Ne Un Ko Man’a Kiya To
Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) Ne Farmaya :
In Ko Chhod Do, In Par Mere
Maa’n Baap Qurbaan Ho’n.”
Reference :
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/47, Raqam-2644]
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى سَيِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ سَيِّدِنَا مُحَمَّدﷺ
.