
Hazrat Abbas ibne Abdul Muttalib Raziallahu anhu bayan karte hain ke Maine arz kiya:
“Ya Rasoolullah! Aapki Nabuwwat par dalalat karne waali ek khaas Nishani ne Mujhe Aapke Deen me dakhil hone ki targheeb di! Maine dekha Aap Ayyam-e-Tafuliyat me (Wiladat-e-Ba Sa’aadat ke baad) Gawarey ke andar Chaand ke saath khela karte they aur Ungli Mubarak ke saath jis taraf ishara farmaya karte they Chaand usi taraf jhuk jata tha.”
Aap SallAllahu ta’ala wa’ala aale hi Wasallam ne farmaya:
“Mai uske saath baate karta tha aur wo Mere saath baate karta tha aur Mujhe rone nahi deta tha.”
–
Ibne Asakir, Tarikh, 4/360
Suyuti, Khasais-e-Kubra, 1/53