Rasoolullah ﷺ Ki Muhabbat Ki Ek Alamat

Imam Qastalani Bayan Karte Hein Rasoolullah ﷺ Ki Muhabbat Ki Ek Alamat Ye Hai Ke Aap ﷺ Ki Sunnat Par Amal Aur Aap ﷺ Ki Hadees Padhne Ki Chahat Ho, Beshak Jis Aadmi Ke Dil Mein Imaan Ki Chashni Dakhil Ho Jab Woh Allah Ke Kalam Mein Se Koi Kalmah Ya Koi Hadeese Rasool Sunta Hai Toh Woh Uski Ruh, Dil Aur Nafs Mein Jagzin Ho Jata Hai_

Mazid Imam Qastalani Bayan Karte Hein Allah Tumse Muhabbat Nahi Karega Magar Jab Tum Zahiri O Batini Taur Par Uske Mahbub ﷺ Ki Itteba Karo, Unki Khabar Ki Tasdiq Karo Unka Hukm Mano Unki Dawat Qubul Karo Unke Hukm Ke Muqable Mein Unke Gair Ke Hukm Se, Unki Muhabbat Mein Gair Ki Muhabbat Aur Unki Ita’at Mein Gair Ki Ita’at Ke Muqable Mein Apne Aapko Fana Kardo Agar Aisa Na Ho Toh Phir Thakawat Ikhtiyar Karne Ki Zarurat Nahi Kyunki Bagair Ita’ate Mustafa ﷺ Ke Tum Kisi Raah Par Nahi Ho.

(Al Mawahib al-Laduniyyah, Safah-491,493,499)

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s