
“Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Karte Hain Ki Jis Shakhs Kee Yeh Khwaahish Ho Ki Woh Logo’n Me Aisi Hasti Ko Dekhe Jo Gardan Se Chehre Tak Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Sab Se Kaamil Shabih Ho To Woh Hazrat Hasan Bin Ali Ko Dekh Le Aur Jis Shakhs Kee Yeh Khwaahish Ho Ki Woh Logo’n Me Aisi Hasti Ko Dekhe Jo Gardan Se Niche Tak Rangat Aur Soorat Donon Me Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Sab Se Kaamil Shabih Ho To Woh Hazrat Husain Bin Ali Ko Dekh Le.”
Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Bayan Kiya Hai.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/95, Raqam-2768, 2759,
Ghayat-ul-Ijabah Fi Manaqib-il-Qarabah,/217, Raqam-266.]