
“Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Bayaan Karte Hain : Jab Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Wilaadat Hu’i To Hazrat Abd-ul-Muttalib رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Ne Aap Kee Taraf Se Ek Mendha Dhab’h Kar Ke ‘Aqiqa Kiya.”
Ise Imam Ibn ‘Asakir Ne Riwaayat Kiya Hai.
“Imam Suyooti Ne Farmaya : Yawme Milad-un-Nabi صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Manaane Ke Hawaala Se Ek Aur Daleel Mujh Par Zaahir Hu’i Hai, Jise Imam Bayhaqi Ne Hazrat Anas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Naqal Kiya Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne E’laane Nubuwwat Ke Baa’d Khud Apna ‘Aqiqa Kiya Baa Wujood Is Ke Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Daada ‘Abd-ul-Muttalib Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Paidaa’ish Ke Saatwe’n Roz Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka ‘Aqiqa Kar Chuke They Aur ‘Aqiqa Do-02 Baar Nahin Kiya Jaata. Pas Yeh Waaqe’a Isi Par Mahmool Kiya Jaaega Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Apne Aap Ko Allah Kee Taraf Se Rahmat-ul-Lil-Aalamin Banaae Jaane Aur Apni Ummat Ke Mushrif Hone Kee Waj’h Se Apni Wilaadat Kee Khushi Ke Izhaar Ke Liye Khud ‘Aqiqa Kiya. Isi Tarah Hamaare Liye Mustahab Hai Ki Hum Bhi Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Yawme Wilaadat Par Khushi Ka Izhaar Kare’n Aur Khaana Khilaaein Aur Deegar ‘Ibaadaat Baja Laaein Aur Khushiyo’n Ka Izhaar Kare’n.”(01)
–
[Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Madinat Dimashq, 03/32,
Halabi Fi Insan-ul-‘Uyoon Fi Sirat-il-Amin-il-Ma’moon Aw As-Sirat-ul-Halabiyyah, 01/128,
Suyooti Fi Kifayah At-Talib Al-Labib Fi Khasa’is Al-Habib (Al-Khasa’is Al-Kubra), 01/134.
(01) Suyooti Fi Husn Al-Maqsad Fi ‘Amal Al-Mawlid,/64, 65,
Suyooti Fi Al-Hawi Li-’l-Fatawi Fi Al-Fiqh Wa Uloom Al-Tafsir Wa Al-Hadith Wa Al-Usool Wa Al-Nahw Wa Al-I’rab Wa Sa’ir Al-Funun,/206,
Salihi Fi Subul Al-Huda Wa Al-Rashad Fi Sirat Khayr Al-‘Ibad, 01/367,
Zarqani Fi Sharh Al-Mawahib-ul-Ladunniyyah, 01/263_264,
Nab’hani Fi Hujjatu Allahi ‘Ala Al-‘Alamin Fi Mu’jizat Sayyid-il-Mursalin,/237,
Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/61_62, Raqm-25.]