
Hasnain Kareemain (عليهم الصلاة والسلام) ka Sabse Aala Maqam!
_ Hadrat Abdullah Bin Masood RadiyaAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hai Ke Huzoor Nabi-e-Akram (صلى الله عليه وآله وسلم) Namaz Ada Farma Rahe They, . Jab Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) Sajde ki Halat Mein Gaye To Hazrat Imam Hassan Aur Hazrat Imam Hussain (عليهم الصلاة والسلام) Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) Ki Pusht Mubarak par Sawar Ho Gaye To Logo Ne Unhe Rokna Chaha Baaz Riwaya’at Mein Hai ke Logo Ne Unhe Hatana Chaha to Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) ne Farmaya . دعوھما ، بابي ھما وأمّني، من احبني ، فلیحب ھذین . Ya’ani Un Dono ko Chorh Do Mere Maa Baap in Dono Par Qurban! Jo Mujhse Muhabbat Karta Hai Use Chahiye ke Woh In Dono Se Bhi Muhabbat Kare. _
Reference :
- Saheeh Ibn Hibban Jild 15 Hadeeth Number 6975″
- Saheeh Ibn Khuzaimah Jild 2 Hadeeth Number 887″
- Mu’jamal Kabeer Jild 3 Hadeeth Number 2644″
- Hilyatul Awliyah Jild 8 Safah 305″
- Tareekh Madina Damishq Jild 13 Safah 197″
- Musnad Abu Ya’la Jild 8 Hadeeth Number 5017″
- Musnad Abu Ya’la Jild 9 Hadeeth Number 5368″
- Majma uz-Zawaid Jild 9 Safah 179″]
.
اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلَی سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ عَلَی اٰلِ سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ بَارِکْ وَ س٘لِّمْ