
“Hazrat Uqbah Bin Amir RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Hasan Aur Husain Ars Ke Do-02 Sutoon Hain Lekin Woh Latke Huwe Nahin Aur Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Jab Ahl-E-Jannat, Jannat Me Muqim Ho Jaaeinge To Jannat Arz Karegi :
Aye Parwardigaar !
Toone Mujhe Apne Sutoonon Me Se Do-02 Sutoonon Se Muzayyan Karne Ka Waa’da Farmaya Tha.
Allah Ta’ala Ne Farmayega :
Kya Mein Ne Tujhe Hasan Aur Husain Kee Maujoodagi Ke Zariye Muzayyan Nahin Kar Diya ?
(Yahi To Mere Do-02 Sutoon Hain).’
Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/108, Raqam-337,
Ghayat-ul-Ijabah Fi Manaqib-il-Qarabah,/210, Raqam-254.]