
Hasnain Karimain عَلَيْهِمُ السَّلَام Ke Manaqib
“Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Woh Farmate Hain Ki Aik Dafa’ Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Sayyidah Fatimah سلام الله عليها Ke Ghar Ke Saamne Ruke To Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Sayyidah Fatimat-uz-Zahra Ko Salam Kiya.
Itne Me Hasnain Karimain عليهما السلام Me Se Aik Shehzadah Ghar Se Baahar Aa Gaya Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Un Se Farmaya :
Apne Baap Ke Kanndhe Par Suwaar Ho Jaa Too (Meri) Aankh Ka Taara Hai, Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Unhein Haath Se Pakada Pas Woh Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Dosh Mubarak Par Suwaar Ho Gaye.
Phir Doosar Shehzadah Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Taraf Takta Huwa Baahar Aa Gaya To Use Bhi Farmaya :
KhooshAamadid, Apne Baap Ke Kandhe Par Suwaar Ho Jaa Too (Meri) Aankh Ka Taara Hai Aur Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Use Apni Ungliyon Ke Saath Pakda Pas Woh Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Doosare Dosh Mubarak Par Suwaar Ho Gaye.”
Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/49, Raqam-2652,
Ghayat-ul-Ijabah Fi Manaqib-il-Qarabah,/203, Raqam-243.]