
Hasnain Karimain عَلَيْهِمُ السَّلَام Ke Manaqib
“Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Farmate Hain Ki Mein Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Bargah Me Haazir Huwa To (Dekha Ki) Hasan Aur Husain عليهما السلام Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Shikam Mubarak Par Khel Rahe They, To Mein Ne Arz Kiya :
Ya RasoolAllah ﷺ!
Kya Aap In Se Muhabbat Karte Hain ?
To Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Mein In Se Muhabbat Kyun Na Karun Haala’n Ki Woh Donon Mere Phool Hain.”
Is Hadith Ko Imam Bazzar Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Bazzar Fi Al-Musnad, 03/287, Raqam-1079,
Ghayat-ul-Ijabah Fi Manaqib-il-Qarabah,/203, 204, Raqam-244.]