
“Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Hamaare Paas Tashrif Laaye To Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Aik Kandhe Par Imam Hasan عَلَيْهِ السَّلَام Aur Doosare Kandhe Par Imam Husain عَلَيْهِ السَّلَام Suwaar They.
Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Donon Ko Baari Baari Choom Rahe They Yaha’n Tak Ki Aap Hamaare Paas Aa Kar Ruk Gaye, Aik Shakhs Ne Arz Kiya :
Ya RasoolAllah ﷺ!
Kya In Se Muhabbat Karte Hain ?
Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Jis Ne In Donon Se Muhabbat Rakhi Us Ne Mujh Se Muhabbat Rakhi Aur Jis Ne In Se Bughz Rakha Us Ne Mujh Se Bughz Rakha.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Aur Haakim Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Haakim Kehte Hain Ki Yeh Hadith Sahih-ul-Isnad Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/400, Raqam-9671,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/182, Raqam-4777,
Ghayat-ul-Ijabah Fi Manaqib-il-Qarabah,/199, Raqam-238.]