
“Hazrat Aboo Buraydah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Hamein Khutba De Rahe They, Itne Me Hsanain Karimain عليهما السلام Tashrif Laaye, Unhone Surkh Rang Kee Qamis Pehni Huwi Thi Aur Woh (Kam Umr Hone Kee Wajah Se) LadKhada Kar Chal Rahe They.
Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam (Unhein Dekh Kar) Minbar Se Niche Tashrif Le Aaye, Donon (Shehzaadon) Ko Uthaaya Aur Apne Saamne Bitha Liya, Phir Farmaya :
Allah Ta’ala Ka Farman Kitna Sach Hai ;
“BeShak Tumhare Amwaal Aur Tumhaari Awlaad Aazmaaish Hee Hain”
Mein Ne In Bachchon Ko LadKhada Kar Chalte Dekha To Mujh Se Raha Na Gaya Hatta Ki Mein Ne Apni Baat Kaat Kar Inhein Utha Liya.”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Nasa’i Ne Riwayat Kiya Hai Aur Kaha Hai Ki Yeh Hadith Hasan Hai.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/658, Raqam-3774,
Nasa’i Fi As-Sunan, 03/192, Raqam-1558,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/345,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 13/403, Raqam-6039,
Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 03/218, Raqam-5610,
Ghayat-ul-Ijabah Fi Manaqib-il-Qarabah,/197, Raqam-236.]