
“Hazrat Ali Bin Abi Talib RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hasan Aur Husain عليهما السلام Ka Haath Pakdada Aur Farmaya :
Jis Ne Mujh Se Aur In Donon Se Muhabbat Kee Aur Un Ke Waalid Se Aur In Kee Waalidah Se Muhabbat Kee Woh Qayaamat Ke Din Mere Saath Mere Hee Thikaane Par Hoga.”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Tirmidhi Ne Farmaya Ki Yeh Hadith Hasan Hai.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/641, Raqam-3733,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/77, Raqam-576,
Ahmad Bin Hanbal Fi Faza’il-us-Sahabah, 02/693, Raqam-1185,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir,n 03/50, Raqam-2654,
Ghayat-ul-Ijabah Fi Manaqib-il-Qarabah,/192, Raqam-229.]