
Hazrat Mawla Ali (عليه السلام) Ka Naam Ameerul Momineen Kab Rakha Gaya !
Hazrat Huzaifa bin Al Yaman (رضي الله عنه) Se Riwayat Hai Ke, RasoolAllah (صلى الله عليه وآله وسلم) Ne Farmaya: Agar Log’on Ko Yeh Maloom Hota Ke Ali (عليه السلام) Ka Naam “Ameerul Momineen” Kab Rakha Gaya Toh Woh Hargiz Ali (عليه السلام) Ki Fazilat Ka Inkaar Na Kartay.
Ali (عليه السلام) Ka Naam Us Waqt Ameerul Momineen Rakha Gaya, Jab Adam (عليه السلام) Rooh Aur Jism Ke Darmiyaan Thay. Uss Waqt Allah Ne Arwaah Ko Mukhitab Karke Farmaya: Main Tumhara Khuda Hoon, Aur Muhammad (صلى الله عليه وآله وسلم) Tumhare Nabi Hain, Aur Ali (عليه السلام) Tumhare Ameer Hain.
Reference 📗 Masnad Al-Firdous, Jild:2, Page:197, Hadith No. 5104
اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلَی سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ عَلَی اٰلِ سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ بَارِکْ وَ س٘لِّمْ