Hadith Sayyidah Fatimah سلام الله عليها Kee Shaadi Se Muta’lliqah Umoor Ka Bayan

Sayyidah Fatimah سلام الله عليها Kee Shaadi Se Muta’lliqah Umoor Ka Bayan

Hazrat Miswar Bin Makhramah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Farmaya :
BeShak Fatimah Mere Jigar Ka Tukada Hai Aur Us Kee Naaraazgi Mujhe Pasand Nahin.
Khua Kee Qasam Kisi Shakhs Ke Paas RasoolAllah Aur Dushman-E-Khuda Kee Betiya’n Jama’ Nahin Ho Sakti’n.”

Yeh Hadith Muttafaque Alayh Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1364, Raqam-3523,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1903, Raqam-2448,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/644, Raqam-1999,

Ahmad Bin Hanbal Fi Faza’il-us-Sahabah, 02/759, Raqam-1335,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/407, 408, 535, Raqam-6956, 6957, 7060,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/18, 19, 22/405, Raqam-1013,

Ghayat-ul-Ijabah Fi Manaqib-il-Qarabah,/92, Raqam-90.]

Hazrat Miswar Bin Makhramah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Riwayat Kiya Ki Unhone Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ko Minbar Par Farmate Suna :
Bani Hishaam Bin Mughirah Ne Apni Beti Ka Ali Se Rishta Karne Kee Mujh Se Ijaazat Maangi Hai.
Mein Unhein Ijaazat Nahin Deta Do Baarah Mein Unhein Ijaazat Nahin Deta, Seh Baarah Mein Unhein Ijaazat Nahin Deta Aur Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Yeh Bhi Farmaya :
Meri Beti Mere Jism Ka Hissa Hai, Us Kee Pareshaani Mujhe Pareshaan Karti Hai Aur Us Kee Taklif Mujhe Taklif Deti Hai.”

Is Hadith Ko Imam Muslim, Tirmidhi, Aboo Dawood Aur Ibn Majah Ne Riwayat Kiya Hai.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1902, Raqam-2449,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/698, Raqam-3867,

Aboo Dawood Fi As-Sunan, 02/226, Raqam-2071,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/643, Raqam-1998,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/147, Raqam-8518,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/328,

Ahmad Bin Hanbal Fi Faza’il-us-Sahabah, 02/756, Raqam-1328,

Ghayat-ul-Ijabah Fi Manaqib-il-Qarabah,/92, 93, Raqam-91.]

Hazrat Buraydah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Hazrat Ali Aur Sayyadah Fatimah RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Kee Shaadi Kee Raat Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Farmaya :
Mujhe Mile Baghair Koi Amal Na Karna Phir Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Paani Mangwaaya, Is Se Wuzoo Kiya Phir Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Par Paani Daal Kar Farmaaya :
Aye Allah ﷻ!
In Donon Ke Haque Me Barkat Aur In Donon Par Barkat Naazil Farma, In Donon Ke Liye In Kee Awlaad Me Barkat Ata’ Farma.”

Is Hadith Ko Imam Nasa’i Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

[Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/76, Raqam-10088,

Nasa’i Fi Amal-ul-Yawm Wa’l-Laylah, /253, Raqam-258,

Rooyani Fi Al-Musnad, 01/77, Raqam-35,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/20, Raqam-1153,

Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah, 07/217,

Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 08/21,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/209,

Ghayat-ul-Ijabah Fi Manaqib-il-Qarabah,/31, 32, Raqam-92.]

Hazrat Abd-ul-Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Farmaya :
Allah Ta’ala Ne Mujhe Hukm Farmaya Hai Ki Mein Fatimah Ka Nikaah Ali Se Karu’n.”

Is Hadith Ko Imam Tabrani Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/156, Raqam-10305,

Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 01/174, Raqam-455,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/204,

Halabi Fi Al-Kashf-ul-Hathith, 01/174,

Manawi Fi Fayd-ul-Qadir, 02/215,

Ghayat-ul-Ijabah Fi Manaqib-il-Qarabah,/94, Raqam-93.]

Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Masjid Me Tashrif Farma They Ki Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Farmaya :
Yeh Jibra’il عَلَيْهِ السَّلَام Mujhe Bata Rahe Hain Ki Allah Ta’ala Ne Fartimah Se Tumhaari Shaadi Kar Dee Hai Aur Tumhare Nikaah Par Chaalis Hazaar 40.000 Firishton Ko Gawaah Ke Taur Par Majlis-E-Nikaah Me Sharik Kiya Gaya, Aur Shajaraha-E-Tooba Se Farmaya :
In Par Moti Aur Yaaqoot Nichhaawar Karo Phir Dilkash Aankhon Waali Hoorein Un Motiyon Aur Yaaqooton Se Thaal Bharne Lagi’n.
Jinhein (Taqrib-E-Nikaah Me Shirkat Karne Waale) Firishte Qayamat Tak Aik Doosare Ko Bataure Tahaa’if Deinge.”

Is Hadith Ko Muhibb Tabari Ne Riwayat Kiya Hai.

[Muhibb-ud-Deen Tabari Fi Al-Riyad-un-Nadarah Fi Manaqib-il-Ashrah, 03/146,

Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-Uqba Fi Manaqib Dhaw-il-Qurba, 01/72,

Ghayat-ul-Ijabah Fi Manaqib-il-Qarabah,/94, 95, Raqqam-94.]

Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Riwayat Hai RasoolAllah SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Farmaya :
Mere Paas Aik Firishte Ne Aa Kar Arz Kiya :
Aye Muhammad !
Allah Ta’ala Ne Aap Pas Salam Bheja Hai Aur Farmaya Hai :
Mein Ne Aap Kee Beti Fatimah Ka Nikaah Mala-E-Aala Me Ali Bin Abi Talib Se Kar Diya Hai, Pas Aap Zameen Par Bhi Fatimah Ka Nikaah Ali Se Kar Dein.”

Is Hadith Ko Muhibb Tabari Ne Riwayat Kiya Hai.

[Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-Uqba Fi Manaqib Dhaw-il-Qurba, 01/73,

Ghayat-ul-Ijabah Fi Manaqib-il-Qarabah,/95, Raqam-95.]

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s