04/01 : Huzoor Nabi-E-Akram صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم Ka Hasnain Karimain عَلَيْهِمُ السَّلَام Kaa Naam Rakhne, Un Ke Kaanon Me Azaan Dene Aur Un Kee Taraf Se Aqiqa Karne Ka Bayan
ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلْعَالَمِينَ وَالصَّلوٰةُ والسَّﻻَمُ عَلىٰ سَيِدِ الْمُرْ سَلِيْنَ
اَمّاَ بَعْدُ فَاَعُوْذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطٰنِ الرَّجِيْم بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم
01/212
“Hazrat Aboo Rafe’ RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Dekha Ki Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Sayyidah Fatimah RadiyAllahu Ta’ala Anha Ke Haa’n Hasan Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Kee Wilaadat Hone Par Un Ke Kaanon Me Namaz Waali Azaan Dee.”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi, Aboo Dawood Aur Ahmad Bin Hanbal Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Tirmidhi Ne Farmaya Ki Yeh Hadith Hasan Sahih Hai.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/97, Raqam-1514,
Aboo Dawood Fi As-Sunan, 04/328, Raqam-5105,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/391,
Ghayat-ul-Ijabah Fi Manaqib-il-Qarabah,/179, Raqam-212.]