
Sayyedna Anas Bin Malik Se Riwayat Hai Ke Ek Sahabi Ne Nabi Alayhissalam Se Sawari Ki Darkhwast Ki Toh Aap Alayhissalam Ne Farmaya Mein Tumhein Sawari Ke Liye Oontni Ka Baccha Dunga Unhone Arz Kiya Allah Ke Rasool! Mein Oontni Ke Bacche Par Kaise Sawari Karunga Mujhe Toh Oont Chahiye Aap Alayhissalam Ne Farmaya Nahi Isey Oontni Ka Baccha De Do Unhone Kaha Ya Rasoolullah! Maine Aapse Sawari Mangi Hai Toh Aapne Farmaya Koi Oont Aisa Hai Jo Oontni Ka Baccha Na Ho. (Tirmizi, Hadees-1991, Isnad-Hasan)
Sayyedna Anas Bin Malik Farmate Hein Mera Bhai Tha Abu Umair Toh Usne Ek Chidiya Paali Huyi Thi Choti Si Woh Faut Ho Gayi Toh Nabi Alayhissalam Jab Bhi Usse Mila Karte Toh Kehte Abu Umair Teri Chidiya Toh Bakhair Hai? (Sahih Bukhari, Hadees-6129) Sayyedna Anas Bin Malik Se Riwayat Hai Ke Nabi Alayhissalam Ne Unko Mukhatib Karte Huye Farmaya “Aye Do Kaan Wale!” Yaani Aap Alayhissalam Ne Unse Mazaq Kiya. (Tirmizi, Hadees-1992, Isnad-Sahih)
Sayyedna Abu Hurairah Kehte Hein Ke Sahabae Kiraam Ne Arz Kiya Allah Ke Rasool! Aap Humse Mazaq Karte Hein? Aap Alayhissalam Ne Farmaya Mein Mazaq Mein Bhi Haq Ke Siwa Kuch Nahi Kehta Yaani Mein Mazaq Mein Bhi Kabhi Jhut Nahi Bolta. (Tirmizi, Hadees-1990, Isnad-Hasan)