Hazrat Saib ibne yazid farmatey hain ki meri khala mujh ko Huzoor ﷺ kee khidmat mein le gaee aur arz kiya Ya RasoolALLAH ﷺ yah mera bhanja beemar hai aap ne mere sar par hath fera aur mere liye barkat kee dua farmaee fir aap ne Wazu farmaya aur maine aap k Wazu ka pani piya iske baad main aap k peeche khada ho gaya tou maine muhare Nuboowwat ko aap k dono’n kanon k beech mein dekha jaisa wah parde kee ghndi hai
Ref ( Bukhari , jild , 1 Safah 31 )
Aur Bukhari Jild 1 Safah 50 par is hadees k sath Hazrat Juaed ibne Abdur’Rahman ka yah kaul bhi hai ( Hazrat Juaed ibne Abdur’Rahman farmatey hai ki Huzoor ﷺ k sar par hath ferne aur wuzoo ka pani peene kee barkat se main ne Saib ibne Yajeed ko chauranve 94 saal kee umar mein dekha wah bilkul tawana w Tandurast aur sahihul badan hain aur unhone bataya ki meri yah sama’at aur basaarat Huzoorﷺ kee dua kee wajah se hai..
Ref ( Bukhari Jild 1 Safah . 501 )