Hadees :
Hazrat Abu Hujaifa Razi’allahu ta’ala anhu kahtey hain ki dopahar k Waqt Huzoorﷺ hamare paas tashreef laye tou aap k Wazu k liye Paani laya gaya aap ne WUZU farmaya tou log aap k Wazu k Paani ko lekar apne jismon par malne lage fir aap ne Zohar kee do Rak’at Namaz padhi aur Asar bhi do 2 Rak’at padhi aur Hazrat Abu Moosa Ash’ari Razi’allaho Anho farmate hain ki RasoolALLAH ﷺ ne ek pyala Mangaya jis mein pani tha pahle aapne apna Munh apne hathon ko usme dhoya aur isme kulli farmaee aur fir hum dono’n ( Hazrat Abu Moosa Ash’ari aur Hazrat Bilaal Razi’allahu ta’ala anhu ) se farmaya is Paani ko piyo aur is ko apne chehron aur seenon par daal lo..
Ref ( Bukhari Jild , 1 Safah . 31 )
Sahabk :
Yah ek safar ka kissa tha jis mein Huzoorﷺ ne Zuhar aur Asar mein do 2 Rak’at bataur qasr Ada farmaee thi aur makame ji’arrarana mein aap ka qyam tha aur Bukhari hee mein doosri jagah hai ki jab Wazu ka dhoban aur kulli kiya hua Paani Huzoor ne Hazrat Abu Mosa As’ari Radi ALLAHU Taala Anhu aur Hazrat Bilal Radi ALLAHU Taala Anhu ko ata farmaya aur yah dono’n Hazraat jab is Paani ko bataur tabarrook pee rahe they aur apne chehron aur seenon par dal rahe they tou ummul-Momineen Sayyadena Umme Salma Razi’allahu ta’ala anha jo kheme k andar se yah mulahiza farma rahi thi unhone farmaya dhoda apni Maa’n yani mere liye bhi bachaye rakho
HADEES K ALFAZ YAH HAI:
( Hazrat Umme Salma Razi’allahu ta’ala anha ne parde k peeche se aawaz lagaee ki thoda mere liye bhi bachalo tou unhone thoda Paani unke liye bachaya )
Ref ( Bukhari Jild , 2 Safah 620 )