1-Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ka Sattar Hazaar Hooro’n Ke Jhurmut Me Pul Siraat Se Guzarne Ka Manzar
87_ “Hazrat Aboo Ayyoob Ansari رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai : Roze Qiyamat Arsh Kee Gehraa’iyo’n Se Aik Nida Dene Waala Aawaaz Dega : Aye Mahshar Waalo’n! Apne Saro’n Ko Jhuka Lo Aur Apni Nigaahein Neechi Kar Lo Taa Ki Fatimah Bint Muhammad Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Pul Siraat Se Guzar Jaaein. Pas Aap Guzar Jaaeingi Aur Aap Ke Saath Hoore Iyn Me Se Chamakti Bijliyo’n Kee Tarah Sattar Hazaar Khaadimaaein Hongi.”
–
[1_Muhibb Tabari Ne ‘Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba (Saf’h-94)’ Me Kaha Hai Ki Ise Hafiz Aboo Sa’iyd Naqqash Ne ‘Fawa’id Al-‘Iraqiyin’ Me Riwaayat Kiya Hai.
2_Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal Fi Sunan Al-Aqwal Wa-Al-Af’al, 12/105, 106, Raqam-34209, 34210,
3_Ibn Jawzi Ne ‘Tadhkirat-ul-Khawass (Saf’h-279)’ Me Zara Mukhtalif Alfaaz Ke Saath Hazrat Abdullah Bin Umar رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwaayat Kee Hai.
4_Haytami Ne ‘As-Sawa’iq Al-Muhriqah (02/557)’ Me Kaha Hai Ki Ise Aboo Bakr Ne ‘Al-Ghaylaniyat’ Me Riwaayat Kiya Hai.
5_Manawi Fi Fayd-ul-Qadir Sharh Al-Jami’ As-Saghir, 01/420, 429,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/100, 101, Raqam-87.]
88_ “Sayyidina Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Riwayat Karte Hain Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Meri Beti Sayyidah Fatimah Qiyamat Ke Din Is Tarah Uthegi Ki Us Par Izzat Ka Joda Hoga, Jise Aabe Hayaat Se Dhoya Gaya Hai. Saari Makhlooq Use Dekh Kar Dang Reh Jaa’egi, Phir Use Jannat Ka Libaas Pehnaaya Jaa’ega Jis Ka Har Hulla Hazaar Hullo’n Par Mushtamil Hoga. Har Aik Par Sabz Khat Se Likha Hoga : Muhammad Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Beti Ko Ahsan Soorat, Akmal Haybat, Tamam Tar Karaamat Aur Waafar Tar Izzat Ke Saath Jannat Me Le Jaao. Pas Aap Ko Dulhan Kee Tarah Saja Kar Sattar Hazaar Hooro’n Ke Jhurmut Me Jannat Kee Taraf Laaya Jaa’ega.”
–
[1_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/95,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/101, Raqam-88.]
2-Roze Qiyaamat Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Sawaari Par Baithengi
89_ “Hazrat Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwayat Hai Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Qiyamat Ke Din Mujhe Buraaq Par Aur Fatimah Ko Meri Sawaari Azbaa’ Par Bithaaya Jaa’ega.”
–
[Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 10/353,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/102, Raqam-89.]
90_ “Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Ambiya-E-Kiram Qiyamat Ke Din Apni Apni Sawaari Ke Jaanwaro’n Par Sawaar Ho Kar Apni Qaum Me Se Imaan Waalo’n Ke Saath Maidaane Mahshar Me Tashrif Laaeinge, Aur Salih (عَلَيْهِ السَّلَام) Apni Oontni Par Laa’e Jaaeinge Aur Mujhe (Makhsoos Sawaari) Buraaq Par Laaya Jaa’ega, Jis Ka Qadam Us Kee Muntaha-E-Nigaah Par Padega Aur Mere Aage Fatimah Hogi.”
–
[Hakim Ne ‘Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn (03/166, Raqam-4727)’ Me Kaha Hai Ki Yeh Hadith Imam Muslim Kee Shara’it Ke Mutabiq Sahih Hai.
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/102, 103, Raqam-90.]
91_ “Hazrat Buraydah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Riwaayat Karte Hain Ki Hazrat Mu’adh Bin Jabal رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Ne Arz Kiya : Ya Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم! Kya Aap Roze Qiyaamt Apni Oontni Azbaa’ Par Sawaari Ho Kar Guzrenge? Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Mein Us Buraaq Par Sawaar Howunga Jo Nabiyo’n Me Khusoosi Taur Par Sirf Mujhe Ata Hoga, (Magar) Meri Beti Fatimah Meri Sawaari Azbaa’ Par Hogi.”
–
[1_Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 10/352, 353,
2_Hindi Ne Kanz-ul-‘Ummal Fi Sunan Al-Aqwal Wa-Al-Af’al (11/499, Raqam-32340)’ Me Kaha Hai Ki Ise Aboo Nu’aym Aur Ibn Asakir Ne Riwaayat Kiya Hai.
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/103, Raqam-91.]
3-Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ukhrawi Taraazoo Ka Dasta Hain
92_ “Hazrat Abdullah Bin Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Mein Ilm Ka Taraazoo Hoo’n, Ali Us Ka Palda Hai, Hasan Aur Husayn Us Kee Rassiya’n Hain, Fatimah Us Ka Dastah Hai Aur Mere Ba’d A’imma-E-At’haar (Us Taraazoo Kee) Umoodi Salaakh Hain, Jis Ke Zari’e Hamaare Saath Mahabbat Kar Ne Waalo’n Aur Bughz Rakhne Waalo’n Ke A’amaal Tole Jaaeinge.”
–
[1_Daylami Fi Al-Firdaws Bi-Mathoor Al-Khitab, 01/44, Raqam-107,
2_Ajlooni Ne Kashf-ul-Khafa’ Wa Muzil Al-Ilbas ‘Ammah Istuhira Min Al-Ahadith ‘Ala Alsinat-in-Nas (01/236)’ Me Kaha Hai Ki Daylami Ne Hazrat Abdullah Bin Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Marfoo’ Riwaayat Bayan Kee Hai.
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/104, Raqam-92.]
4-Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Aur Un Ka Gharaana Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Saath Sab Se Pehle Jannat Me Daakhil Hoga
93_ “Hazrat Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayan Karte Hain Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Mujhe Bataaya : (Mere Saath) Sab Se Pehle Jannat Me Daakhil Hone Waalo’n Me, Mein, Fatimah, Hasan Aur Husayn Honge. Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم! Hum Se Mahabbat Kar Ne Waale Kaha’n Honge? Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Tumhare Peechhe Honge.”
–
[1_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/164, Raqam-4723,
2_Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 14/173,
3_Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal Fi Sunan Al-Aqwal Wa-Al-Af’al, 12/98, Raqam-34166,
4_Haytami Ne ‘As-Sawa’iq Al-Muhriqah (02/448)’ Me Kaha Hai Ki Ise Ibn Sa’d Ne Riwaayat Kiya Hai.
5_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/214,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/105, Raqam-93.]
94_ “Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Jannat Me Sab Se Pehle Daakhil Hone Waali Hasti Fatimah Hogi.”
–
[1_Dhahabi Ne ‘Mizan-ul-I’tidal Fi Naqd-ir-Rijal (04/351)’ Me Kaha Hai Ki Ise Aboo Salih Mu’addhin Ne ‘Manaqibi Fatimah’ Me Riwaayat Kiya Hai.
2_Asqalani Ne Bhi ‘Lisan-ul-Mizan (04/16)’ Me Aisa Kaha Hai.
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/105, 106, Raqam-94.]
95_ “Hazrat Aboo Yazid Madani Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Jannat Me Daakhil Hone Waalo’n Me Sab Se Pehle Meri Beti Fatimah Hogi, Aur (Meri) Is Ummat Me Woh Aisi Hain Jaise Bani Isra’il Me Maryam.”
–
[1_Qazwini Fi At-Tadwin Fi Akhbar Qazwin, 01/457,
2_Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal Fi Sunan Al-Aqwal Wa-Al-Af’al, 12/110, Raqam-34234,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/106, Raqam-95.]
5-Roze Qiyamat Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ka Maskan Arshe Khudawandi Ke Neeche Safed Gumbad Hoga
96_ “Hazrat Umar Bin Khattab رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Riwaayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Be Shak Aakhirat Me Fatimah, Ali, Hasan Aur Husayn (Jannat) Al-Firdaws Me Safed Gumbad Me Muqeem Honge, Jis Kee Chhat Arshe Khudaawandi Hoga.”
–
[1_Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 14/61,
2_Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal Fi Sunan Al-Aqwal Wa-Al-Af’al, 12/98, Raqam-34167,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/107, Raqam-96.]
97_ “Hazrat Aboo Moosa Ash’ari رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Roze Qiyaamat Mein, Ali, Fatimah, Hasan Aur Husayn Arsh Ke Neeche Gumbad Me Qiyaam Pazeer Honge.”
–
[1_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/174,
2_Zarqani Fi Sharh Al-Zarqani ‘Ala Muwatta’, 04/443,
3_Asqalani Fi Lisan-ul-Mizan, 02/94,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/107, Raqam-97.]
6-Panjtan Paak Aur Un Ke Tamaam Muhibb Qiyaamat Ke Din Aik Hee Jagah Honge
98_ “Hazrat Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Se Farmaya : (Aye Fatimah!) Mein, Too Aur Yeh Dono’n (Hasan Wa Husayn) Aur Yeh Sone Waala (Hazrat Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ, Kyoo’n Ki Us Waqt Aap So Kar Uthey Hee They) Roze Qiyamat Aik Hee Jagah Honge.”
–
[1_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/101,
2_Bazzar Fi Al-Musnad, 03/29, 30, Raqam-779,
3_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/692, Raqam-1183,
4_Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/169, 170)’ Me Kaha Hai Ahmad Bin Hanbal Kee Riwaayat Karda Hadith Kee Sanad Me Qays Bin Rabi’ Ke Baare Me Ikhtalaaf Hai, Jab Ki Baqiyya Tamam Rijaal Thiqah Hain.
5_Shaybani Fi As-Sunnah, 02/598, Raqam-1322,
6_Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 07/220,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/108, Raqam-98.]
99_ “Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Mein, Ali, Fatimah, Hasan Wa Husayn Aur Hamaare Muhibbin Sab Roze Qiyaamat Aik Hee Jagah Ikatthe Honge. Qiyaamat Ke Din Hamaara Khaana Peena Bhi Ikattha Hoga, Yaha’n Tak Ki Logo’n Me Faisle Kar Diye Jaaeinge.”
–
[1_Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/174)’ Me Kaha Hai Ki Ise Tabarani Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Mein Is Ke Raawiyo’n Ko Nahin Jaanta.
2_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/41, Raqam-2623,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/108, 109, Raqam-99.]
7-Farmaane Hazrat Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا ….. Ba’d Az Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Afzal Tareen Hasti Sayyidah Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Hain
100_ “Hazrat Aaishah Siddiqah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Farmati Hain Ki Mein Ne Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Afzal Un Ke Baaba Ke Ilaawah Kisi Shakhs Ko Nahin Paaya.”
–
[1_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/137, Raqam-2721,
2_Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/201)’ Me Kaha Hai Ki Ise Tabarani Aur Aboo Ya’la Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Is Ke Rijaal Sahih Hain.
3_Shawkani Fi Darr-us-Sahabah Fi Manaqib-il-Qarabah Wa’s-Sahabah,/277, Raqam-24,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/110, Raqam-100.]
101_ “Amr Bin Dinar رَحْمَةُاللهِ تَعَالىٰ عَلَيْه Se Riwayat Hai Ki Hazrat Aaishah Siddiqah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ne Farmaya : Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ke Baaba صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمKe Siwa Mein Ne Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Ziyaada Saccha Kaa’enaat Me Koi Nahin Dekha.”
–
[Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 02/41, 42,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/110, Raqam-101.]
8-Farmaane Farooqe A’zam رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ ……. Ba’d Az Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Mehboob Tareen Hasti Sayyidah Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Hain
102_ “Hazrat Umar Bin Khattab رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayan Karte Hain Ki Woh Sayyidah Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ke Haa’n Gaye Aur Kaha : Aye Fatimah! Khuda Kee Qasam! Mein Ne Aap Ke Siwa Kisi Shakhs Ko Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Nazdeek Mehboobtar Nahin Dekha. Aur Khuda Kee Qasam! Logo’n Me Se Mujhe Bhi Koi Aur Aap Se Ziyaada Mehboob Nahin Siwaa’e Aap Ke Baab صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمKe.”
–
[1_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/168, Raqam-4736,
2_Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/432, Raqam-37045,
3_Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/360, Raqam-2952,
4_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 01/364, Raqam-532,
5_Khatib Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 04/401,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/111, Raqam-102.]