
3-Aulaade Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهِمْ ……..Waarithaane Awsaafe Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم
71_ “Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Bint Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمBayaan Karti Hain Ki Mein Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Maraze Wisaaal Ke Dauraan Hasan Aur Husayn رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Ko Le Kar Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Khidmat Me Haazir Huwi, Aur Arz Kiya : Ya RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم! Yeh Dono’n Aap Ke Bete Hain, Inhein Kisi Cheez Ka Waarith Bana De’n. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Hasan Ke Liye Meri Haybat (Ro’b) Aur Sardaari Hai, Jab Ki Husayn Ke Liye Meri Jur’at Wa Sakhaawat Ka.”
–
[1_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/423, Raqam-1041,
2_Tabarani Ne ‘Al-Mu’jam-ul-Awsat (06/222, 223, Raqam-6245)’ Me Is Hadith Ko Hazrat Aboo Rafi’ رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Kiya Hai.
3_Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 01/299, Raqam-408,
4_Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/370, Raqam-2971,
5_Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/185)’ Me Kaha Hai Ki Ise Tabarani Ne Riwaayat Kiya Hai Jab Ki Is Ke Raawiyo’n Ko Nahin Jaanta.
6_Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 07/674,
7_Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 02/299,
8_Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 06/400,
9_Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal Fi Sunan Al-Aqwal Wa-Al-Af’al, 12/117, Raqam-3472,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/85, 86, Raqam-71.]

4-Aulaade Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهِمْ …… Dhurriyate Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم
72_ “Hazrat Fatimat-uz-Zahra’ رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Riwaayat Karti Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Har Maa’n Kee Aulaad Apne Baap Kee Taraf Mansoob Hoti Hai, Siwaa’e Fatimah Kee Aulaad Ke. Pas Mein Hee Un Ka Wali Hoo’n Aur Mein Hee Un Ka Nasab Hoo’n.”
–
[1_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/44, Raqam-2632,
2_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/423, Raqam-1042,
3_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 12/109, Raqam-6741,
4_Daylami Fi Al-Firdaws Bi-Mathoor Al-Khitab, 03/264, Raqam-4787,
5_Khatib Baghdadi Kee ‘Tarikh Baghdad (11/285)’ Me Bayaan Karda Riwaayat Me وليهم Kee Bajaa’e أبوهم (Un Ka Baap) Ke Alfaaz Hain.
6_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 04/224,
7_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/172, 173,
8_Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 19/483,
9_Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal Fi Sunan Al-Aqwal Wa-Al-Af’al, 12/116, Raqam-34266,
10_Sakhawi Fi Istijlabu Irtiqa’-il-Ghurafi Bi-Hubbi Aqriba’ Ar-Rasooli SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Wa Dhaw-ish-Sharaf,/129,
11_San’ani Fi Subul Al-Salam, 04/99,
12_Manawi Fi Fayd-ul-Qadir Sharh Al-Jami’ As-Saghir, 05/17,
13_Ajlooni Fi Kashf-ul-Khafa’ Wa Muzil Al-Ilbas ‘Ammah Istuhira Min Al-Ahadith ‘Ala Alsinat-in-Nas, 02/157, Raqam-1968,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/87, Raqam-72.]
73_ “Hazrat Umar رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Farmate Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Yeh Farmate Huwe Suna : Har Aurat Kee Aulaad Ka Nasab Apne Baap Kee Taraf Se Hota Hai Siwaa’e Aulaade Fatimah Ke, Ki Mein Hee Un Ka Nasab Hoo’n Aur Mein Hee Un Ka Baap Hoo’n.”
–
[1_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/44, Raqam-2631,
2_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/626, Raqam-1070,
3_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 04/224,
4_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 06/301,
5_Sakhawi Ne ‘Istijlabu Irtiqa’-il-Ghurafi Bi-Hubbi Aqriba’ Ar-Rasooli SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Wa Dhaw-ish-Sharaf (Saf’h-127)’ Me Tabarani Kee Bayan Karda Riwaayat Naql Kee Hai, Aur Is Ke Rijaal Ko Thiqah Qaraar Diya Hai.
6_Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 02/144, Raqam-1314,
7_Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 06/139,
8_Manawi Fi Fayd-ul-Qadir Sharh Al-Jami’ As-Saghir, 05/17,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/88, Raqam-73.]
74_ “Hazrat Jaabir Bin Abdullah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Har Maa’n Kee Aulaad Ka Usbah (Baap) Hota Hai Jis Kee Taraf Woh Mansoob Hoti Hai, Siwaa’e Fatimah Ke Beto’n Ke, Ki Mein Hee Un Ka Wali Aur Mein Hee Un Ka Nasab Hoo’n.”
–
[1_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/179, Raqam-4770,
2_Sakhawi Fi Istijlabu Irtiqa’-il-Ghurafi Bi-Hubbi Aqriba’ Ar-Rasooli SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Wa Dhaw-ish-Sharaf,/130,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/88, Raqam-74.]

5-Roze Mahshar Nasabe Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ke Siwa Har Nasab Munqate’ Ho Jaa’ega
75_ “Hazrat Umar Bim Khattab رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Yeh Farmate Huwe Suna Hai : “Mere Nasab Aur Rishte Ke Siwa Qiyamat Ke Din Har Nasab Aur Rishta Munqate’ Ho Jaa’ega.”
–
[1_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/153, Raqam-4684,
2_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/625, 626, Raqam-1069, 1070,
3_Ahmad Bin Hanbal Ne ‘Fada’il-us-Sahabah (02/758, Raqam-1333)’ Me Yeh Hadith Miswar Bin Makhramah Se Bhi Riwaayat Kee Hai.
4_Bazzar Fi Al-Musnad, 01/397, Raqam-274,
5_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/44, 45, Raqam-2633, 2634,
6_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/376, Raqam-5606,
7_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/357, Raqam-6609,
8_Daylami Fi Al-Firdaws Bi-Mathoor Al-Khitab, 03/255, Raqam-4755,
9_Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 01/198, Raqam-102,
10_Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/173)’ Me Kaha Hai Ki Ise Tabarani Ne ‘Al-Awsat’ Aur ‘Al-Kabir’ Me Riwaayat Kiya Hai, Aur Is Ke Rijaal Thiqah Hain.
11_Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 06/163, 164, Raqam-10354,
12_Bayhaqi Fi As-Sunan Al-Kubra, 07/63, 63, 114,
13_Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat Al-Kubra, 08/463,
14_Doolabi Fi Adh-Dhurriyah At-Tahirah,/115, 116,
15_Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 07/314,
16_Khatib Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 06/182,
17_Ibn Kathir Fi Tafsir Al-Qr’an Al-Azim, 03/256,
18_Sakhawi Fi Istijlabu Irtiqa’-il-Ghurafi Bi-Hubbi Aqriba’ Ar-Rasooli SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Wa Dhaw-ish-Sharaf,/126, 127, 129,
19_Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 01/205, Raqam-1316,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/89, 90, Raqam-75.]
76_ “Hazrat Abdullah Bin Zubayr رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwaayat Hai Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Qiyaamat Ke Din Har Nasab Wa Ta’alluq Munqate’ Ho Jaa’ega Siwaa’e Mere Nasab Aur Ta’alluq Ke.”
–
[1_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/257, Raqam-4132,
2_Tabarani Ne ‘Al-Mu’jam-ul-Kabir (11/243, Raqam-11621)’ Me Is Mafhoom Kee Riwaayat Hazrat Abdullah Bin Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Lee Hai.
3_Tabarani Ne ‘Al-Mu’jam-ul-Kabir (20/27, Raqam-33)’ Me Hazrat Miswar Bin Makhramah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marwi Hadith Bhi Bayaan Kee Hai.
4_Khallal Ne ‘As-Sunnah (02/433, 655)’ Me Miswar Bin Makhramah Se Marwi Hadith Kee Isnaad Ko Hasan Qaraar Diya Hai.
5_Khatib Baghdadi Ne Tarikh Baghdad (10/271)’ Me Hazrat Abdullah Bin Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwaayat Kee Hai.
6_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/17,
7_Asqalani Fi Talkhis-ul-Habir Fi Takhrij Ahadith Al-Rafi’iy Al-Kabir, 03/1477,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/90, 91, Raqam-76.]
77_ “Hazrat Abdullah Bin Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Mere Rishta Aur Nasab Ke Siwa Qiyaamat Ke Din Har Rishta Aur Nasab Munqate’ Ho Jaa’ega.”
–
[1_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/243, Raqam-11621,
2_Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/173)’ Me Kaha Hai Ki Ise Tabarani Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Is Ke Rijaal Thiqah Hain.
3_Khatib Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 10/271,
4_Sakhawi Fi Istijlabu Irtiqa’-il-Ghurafi Bi-Hubbi Aqriba’ Ar-Rasooli SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Wa Dhaw-ish-Sharaf,/133,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/91, Raqam-77.]

6-Wisaale Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Ba’d Sab Se Pehle Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Hee Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Se Mili’n
78_ “Umm’il-Mu’minin Hazrat Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Farmati Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Apani Saahibzaadi Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ko Apne Maraze Wisaal Me Bulaaya, Phir Sargoshi Ke Andaaz Me Un Se Koi Baat Kahi To Woh Rone Lagi’n, Phir Nazdeek Bula Kar Sargoshi Kee To Woh Hans Padi. Hazrat Aaishah Siddiqah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Farmati Hain Ki Mein Ne Is Baare Me Un Se Poochha To Unhone Bataaya : Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمNe Sargoshi Karte Huwe Mujhe Bataaya Ki Isi Maraz Me Meri Wafaat Ho Jaa’egi To Mein Rone Lagi, Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Sargoshi Karte Huwe Mujhe Bataaya Ki In Ke Ghar Waalo’n Me Sab Se Pehle Mein Hoo’n Jo Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Peechhe Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Se Jaa Miloongi, To Mein Hans Padi.”
–
[1_Bukhari Fi As-Sahih, 03/1327, 1361, Raqam-3427, 3511,
2_Bukhari Fi As-Sahih, 04/1612, Raqam-4170,
3_Muslim Fi As-Sahih, 04/1904, Raqam-2450,
4_Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 05/95, Raqam-8366,
5_Nasa’i Fi Fada’il Al-Sahabah/77, Raqam-262,
6_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/240, 282,
7_Ahmad Bin Hanbal Ne ‘Al-Musnad (06/283)’ Me Yehi Hadith Ja’far Bin Amr Bin Umayyah Se Bhi Riwaayat Kiya Hai.
8_Ahmad Bin Hanbal Fi Faza’il-us-Sahabah, 02/754, Raqam-1322,
9_Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/404, Raqam-6954,
10_Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/388, Raqam-3270,
11_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 12/122, Raqam-6755,
12_Hakim At-Tirmidhi Fi Nawadir-ul-Usool Fi Ma’rifati Ahadith-ir-Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam , 03/182,
13_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/421, Raqam-1037,
14_Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat Al-Kubra, 02/247,
15_Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 02/131,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/92, 93, Raqam-78.]
79_ “Hazrat Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ne Hazrat Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Yeh Riwaayat Kee Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Unhein Farmaya : Mere Ahl-E-Bayt Me Se (Mere Wisaal Ke Baa’d) Tum Sab Se Pehle Mujhe Milogi, To Mein Is Khushi Par Hans Padi.”
–
[1_Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/269, Raqam-35980,
2_Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/357, 358, Raqam-2942_2945,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/93, Raqam-79.]
80_ “Hazrat Abdullah Bin Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Marwi Hai Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Sayyidah Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Farmaya : Mere Ghar Waalo’n Me Se Sab Se Pehle Too Mujh Se Milegi.”
–
[1_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/764, Raqam-1345,
2_Ahmad Bin Hanbal Ne ‘Al-‘Ilal Wa-Ma’rifat Al-Rijal (02/408, Raqam-2828)’ Me Ja’far Bin Amr Bin Umayyah Se Bhi Riwayat Kee Hai.
3_Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 02/40,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/93, 94, Raqam-.80]
81_ “Hazrat Abdullah Bin Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Riwayat Karte Hain Ki Jab Aayat ….. ﴾Jab Allah Kee Madad Aur Fat’h Aa Pahunche ﴿….. Naazil Huwi To Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Hazrat Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ko Bulaaya Aur Farmaya : Meri Wafat Kee Khabar Aa Gayi Hai. Woh Ro Padi’n. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Mat Ro, Be Shak Too Mere Ghar Waalo’n Me Sab Se Pehle Mujh Se Milegi; To Woh Hans Padi’n, Is Baat Ko Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Baa’z Biwiyo’n Ne Bhi Dekha. Unhone Kaha : Fatimah! (Kya Maajra Hai), Hum Ne Tujhe Pehle Rote Aur Phir Hanste Huwe Dekha? Woh Boli’n : Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Mujhe Bataaya : Meri Wafaat Ka Waqt Aa Pahuncha Hai. (Is Par) Mein Ro Padi, Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Mat Ro, Too Mere Khaadndaan Me Sab Se Pehle Mujhe Milne Waali Hai, To Mein Hans Padi.”
–
[1_Darami Fi As-Sunan, 01/51, Raqam-79,
2_Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 04/561,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/94, Raqam-81.]

7-Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ka Apne Wisaal Se Baakahabar Hona
82_ “Hazrat Ummi Salma رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Bayaan Karti Hain : Jab Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Apni Maraze Maut Me Mubtala Huwi’n To Mein Un Kee Timaardaari Karti Thi. Maraz Ke Is Poore Arsa Ke Dauraan Jaha’n Tak Mein Ne Dekha Aik Sub’h Un Kee Haalat Qadrre Behtar Thi. Hazrat Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Kisi Kaam Se Baahar Gaye. Sayyidah Ne Kaha : Amma’n! Mere Ghusl Kar Ne Ke Liye Paani Laaein. Mein Paani Laa’i, Aap Ne, Jaha’n Tak Mein Ne Dekha, Behtarin Ghusl Kiya. Phir Boli’n : Amma’n Ji! Mujhe Naya Libaas De’n. Mein Ne Aisa Hee Kiya. Aap Qibla Rukh Ho Kar Let Gayin. Haath Mubaarak Rukhsaar Ke Neeche Kar Liya. Phir Farmaya : Amma’n Ji! Ab Meri Wafaat Hogi, Mein Paak Ho Chuki Hoo’n, Lehaaza Koi Mujhe Urya’n Na Kare. Pas Usi Jagah Aap رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Kee Wafaat Ho Gayi.
“Ummi Salma Kehti Hain : Phir Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Tashrif Laa’e To Mein Ne Unhein Sayyidah Ke Wisaal Kee Ittela’ Dee.”
–
[1_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/461, 462,
2_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/629, 725, Raqam-1074, 1243,
3_Doolabi Fi Adh-Dhurriyah At-Tahirah,/113,
4_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/211,
5_Zayla’iy Fi Nasb-ur-Rayah Takhrij Ahadith Al-Hidayah, 02/250,
6_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/103,
7_Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 07/221,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/95, 96, Raqam-82.]

8-Roze Qiyaamat Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Kee Aamad Par Sab Ahle Mahshar Nigaahein Jhukla Lenge
83_ “Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Yeh Farmate Huwe Suna : Qiyamat Ke Din Aik Nida’ Dene Waala Parde Ke Peechhe Se Aawaaz Dega : Aye Ahle Mahshar! Apni Nigaahein Jhuka Lo Taa Ki Fatimah Bint Muhammad Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمGuzar Jaaein.”
–
[1_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/166, Raqam-4728,
2_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/94,
3_Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 07/220,
4_Ajlooni Fi Kashf-ul-Khafa’ Wa Muzil Al-Ilbas ‘Ammah Istuhira Min Al-Ahadith ‘Ala Alsinat-in-Nas, 01/101, Raqam-263,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/97, Raqam-83.]
84_ “Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Riwaayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Jab Qiyaamat Ka Din Hoga To Kaha Jaa’ega : Aye Ahle Mahshar! Apni Nigaahein Jhuka Lo Taa Ki Allah Ke Rasool صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Beti Fatimat-uz-Zahra’ Guzar Jaaein. Pas Woh Do Sabz Chaadaro’n Me Lipti Huwi Guzar Jaaengi.”
“Aboo Muslim Ne Kaha : Mujhe Qilabah Ne Kaha, Aur Hamaare Saath Abd-ul-Hamid Bhi Tha, Ki Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaaya Tha : (Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا) Do Surkh Chaadaro’n (Mein Lipti Huwi Guzar Jaaengi).”
–
[1_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/175, Raqam-4757,
2_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/763, Raqam-1344,
3_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/108, Raqam-180,
4_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/400, Raqam-999,
5_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/35, Raqam-2386,
6_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/212,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/97, 98, Raqam-84.]
85_ “Hazrat Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Farmati Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Roze Qiyamat Aik Nida’ Dene Waala Aawaaz Dega : Apni Nigaahein Jhuka Lo Taa Ki Fatimah Bint Muhammad Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Guzar Jaaein.”
–
[1_Khatib Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 08/142,
2_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/94,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/98, 99, Raqam-85.]
86_ “Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marfoo’an Riwaayat Hai Ki Roze Qiyaamat Arsh Kee Gehraa’iyo’n Se Aik Nida’ Dene Waala Aawaaz Dega : Aye Mahshar Waalo! Apne Saro’n Ko Jhuka Lo Aur Apni Nigaahein Neechi Kar Lo Taa Ki Sayyidah Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Jannat Kee Taraf Guzar Jaaein.”
–
[1_Ajlooni Fi Kashf-ul-Khafa’ Wa Muzil Al-Ilbas ‘Ammah Istuhira Min Al-Ahadith ‘Ala Alsinat-in-Nas, 01/101, Raqam-263,
2_Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal Fi Sunan Al-Aqwal Wa-Al-Af’al, 12/106, Raqam-34211,
3_Hindi Ne ‘Kanz-ul-‘Ummal Fi Sunan Al-Aqwal Wa-Al-Af’al (12/106, Raqam-34210)’ Me Kaha Hai Ki Ise Aboo Bakr Ne ‘Al-Ghaylaniyat’ Me Hazrat Aboo Ayyoob Ansari رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Kiya Hai.
4_Khatib Baghdadi Ne ‘Tarikh Baghdad (08/141)’ Me Alfaaz Ke Ma’mooli Ikhtalaaf Ke Saath Yeh Hadith Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Riwaayat Kee Hai.
5_Haytami Ne ‘As-Sawa’iq Al-Muhriqah (02/557)’ Me Kaha Hai Ki Ise Aboo Bakr Ne ‘Al-Ghaylaniyat’ Me Riwaayat Kiya Hai.
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/99, Raqam-86.]