Sayyida-E-Kaa’enaat Fatimat-uz-Zahra سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ke Faza’il-o-Manaqib Part 3

1- Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Kee Takleef….. Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Takleef

bibi_fatima_zahra_sa_by_ajareresalat_d69zss1-fullview

44_             “Hazrat Miswar Bin Makhramah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Be Shak Fatimah Meri Jaan Ka Hissa Hai, Use Taklif Dene Waali Cheez Mujhe Taklif Deti Hai.”

[1_Muslim Fi As-Sahih, 04/1903, Raqam-2449,

2_Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 05/97, Raqam-8370,

3_Bayhaqi Fi As-Sunan Al-Kubra, 10/201,

4_Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/361, Raqam-2955,

5_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/404, Raqam-1010,

6_Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 02/40,

7_Andalusi Fi Tuhfat-ul-Muhtaj, 02/585, Raqam-1795,

8_Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 08/56,

9_Ibn Jawzi Fi Tadhkirat-ul-Khawass,/279,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/61, Raqam-44.]

45_             “Hazrat Abdullah Bin Zubayr رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Bayan Karte Hain Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Be Shak! Fatimah Meri Jaan Ka Hissa Hai, Use Taklif Dene Waali Cheez Mujhe Taklif Deti Hai, Aur Ise Mashaqqat Me Daalne Waala Mujhe Mashaqqat Me Daalta Hai.”

[1_Tirmidhi Ne Yeh Hadith Hasan Sahih ‘Al-Jami’-us-Sahih (05/698, Raqam-3869)’ Me Riwaayat Kee Hai.

2_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/05,

3_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/756, Raqam-1327,

4_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/173, Raqam-4751,

5_Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah, 09/314, 315, Raqam-274,

6_Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari, 09/329,

7_Shawkani Fi Darr-us-Sahabah Fi Manaqib-il-Qarabah Wa’s-Sahabah,/274,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/61, 62, Raqam-45.]

46_             “Hazrat Aboo Hanzalah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Be Shak! Fatimah Meri Jaan Ka Hissa Hai, Jis Ne Use Sataaya Us Ne Mujhe Sataaya.”

[1_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/755, Raqam-1324,

2_Ahmad Bin Hanbal Ne ‘Fada’il-us-Sahabah (02/756, Raqam-1327)’ Me Hazrat Abdullah Bin Zubayr رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Bhi Kee Hai.

3_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/05,

4_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/173, Raqam-4750,

5_Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/362, Raqam-2957,

6_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/405, Raqam-1013,

7_Bayhaqi Fi As-Sunan Al-Kubra, 10/201,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/62, 63, Raqam-46.]

2-Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ka Dushman …… Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka Dushman

Bibi-Fatima-Zahra-pic

47_             “Hazrat Zayd Bin Arqam رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Hazrat Ali, Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Husayn  رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُم Se Farmaya : Mein Ua Se Ladoonga Jis Se Tum Ladoge, Aur Jis Se Tum Sulh Karoge Mein Us Se Sulh Karoonga.”

[1_Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/699, Raqam-3870,

2_Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/52, Raqam-145,

3_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/161, Raqam-4714,

4_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/40, Raqam-2619, 2620,

5_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/184, Raqam-5030, 5031,

6_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/182, Raqam-5015,

7_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/62,

8_Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 02/125,

9_Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 10/432,

10_Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 13/112,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/63, Raqam-47.]

48_             “Hazrat Zyad Bin Arqam رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Hazrat Husayn رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُم Se Farmaya : Jo Tum Se Ladega Mein Us Se Ladoonga Aur Jo Tum Se Sulh Karega Mein Us Se Sulh Karoonga.”

[1_Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/434, Raqam-6977,

2_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/179, Raqam-2854,

3_Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/53, Raqam-767,

4_Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/169)’ Me Kaha Hai Ki Ise Tabarani Ne ‘Al-Awsat” Me Riwaayat Kiya Hai.

5_Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban,/555, Raqam-2244,

6_Mahamili Fi Amali,/447, Raqam-532,

7_Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 07/220,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/63, 64, Raqam-48.]

49_             “Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Hazrat Ali, Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Hazrat Husayn رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُم Kee Taraf Nazrae Iltefaat Kee Aur Irshaad Farmaya : Jo Tum Se Ladega Mein Us Se Ladoonga, Jo Tum Se Sulh Karega Mein Us Se Sulh Karoonga (Ya’ni Jo Tumhara Dushman Hai Woh Mera Dushman Hai Aur Jo Tumhara Dost Hai Woh Mera Bhi Dost Hai).”

[1_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/442,

2_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/767, Raqam-1350,

3_Hakim Ne ‘Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn  (03/161, Raqam-4713)’ Me Is Hadith Ko Hasan Qaraar Diya Hai Jab Ki Dhahabi Ne Is Baare Me Khaamoshi Ikhtiyaar Kee Hai.

4_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/40, Raqam-2621,

5_Khatib Fi Tarikh Baghdadi, 07/137,

6_Dhahabi Fi Siyar A’lam An-Nubula’, 02/122,

7_Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 03/257, 258,

8_Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/169)’ Me Kaha Hai Ki Ise Ahmad Aur Tabarani Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Is Ke Raawi Talid Bin Sulayman Ke Baare Me Ikhtalaaf Hai, Jab Ki Baqiyya Rijaal Hadithe Sahih Ke Rijaal Hain.

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/64, 65, Raqam-49.]

3-Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ke Gharaane Ka Dushman Munaafiq, La’nati Aur Dozakhi Hai

DXyukcOW0AYu4nA

50_             “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Hai Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Jis Ne Hum Ahl-E-Bayt Se Bughz Rakkha To Woh Munaafiq Hai.”

[1_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/661, Raqam-1126,

2_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba, 01/326,

3_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/51,

4_Suyooti Fi Ad-Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bi-Al-Ma’thoor, 07/349,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/66, Raqam-50.]

51_             “Hazrat Zirr Bayaan Karte Hain Ki Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Ne Farmaaya : Munaafiq Shakhs Kabhi Bhi Hamaare Saath Mahabbat Nahin Karta Aur Momin Shakhs Kabhi Bhi Hamaare Saath Bughz Nahin Rakhta.”

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/372, Raqam-32116,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/66, Raqam-51.]

52_             “Hazrat Jabir Bin Abdullah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Bayan Karte Hain Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Hamein Khutba Irshaad Farmaaya, Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Farma Rahe They : Jis Ne Hum Ahl-E-Bayt Ke Saath Bughz Rakkha Roze Qiyamat Us Ka Hashr Yahoodiyo’n Ke Saath Hoga. Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم! Agarche Woh Rozah Rakkhe Aur Namaaz (Bhi) Padhe? Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Haa’n! Agarche Woh Rozah Rakkhe Aur Namaz (Bhi) Padhe (Is Ke Baawujood Dushmane Ahl-E-Bayt Hone Kee Waj’h Se Allah Ta’ala Us Kee Ibaadat Ko Radd Farma Kar Use Yahoodiyo’n Ke Saath Uthaa’ega).”

[1_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/212, Raqam-4002,

2_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/172,

3_Jurjani Fi Tarikh Jurjan Aw Ma’rifah Ulama’ Ahli Jurjan,/369,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/66, 67, Raqam-52.]

53_             “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marwi Hai Ki Rasoole Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Khuda Kee Qasam Jis Ke Qabza-E-Qudrat Me Meri Jaan Hain! Hum Ahl-E-Bayt Se Bughz Rakhne Waala Koi Aik Shakhs Bhi Aisa Nahin Ki Jise Allah Ta’ala Jahannam Me Na Daale.”

[1_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/162, Raqam-4717,

2_Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/435, Raqam-6978,

3_Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 02/123,

Hakim Ke Nazdeek Yeh Hadith Imam Muslim Kee Shara’it Ke Mutaabiq Sahih Hai.

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/67, 68, Raqam-53.]

54_             “Hazrat Abdullah Bin Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Riwaayat Karte Hain Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Agar Koi Shakhs Ka’batullah Ke Paas Rukne Yamaani Aur Maqaame Ibrahim Ke Darmiyaan Khada Ho Kar Namaaz Padhe Aur Rozah (Bhi) Rakkhe Aur Phir Woh Is Haal Me Mare Ke Ahl-E-Bayt Se Bughz Rakhta Ho To Woh Shakhs Jahannam Me Jaa’ega.”

[1_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/51,

2_Ibn Bashkuwal Fi Ghawamid Al-Asma’ Al-Mub’hamah Al-Waqi’ah Fi Mutoon Al-Ahadith Al-Musnadah, 01/505,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/67, 68, Raqam-54.]

55_             “Hazrat Mu’awiyah Bin Hudayj Ne Hazrat Hasan Bin Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwaayat Kiya Hai Ki Aap رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Ne Farmaya : Aye Mu’awiyah Bin Hudayj! Hamaare Saath Bughz Rakhne Se Bache Rehna, Kyoo’n Ki RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka Farmaane Aqdas Hai : Hamaare Saath Bughz-o-Hasad Rakhne Waala Koi Aik Shakhs Bhi Aisa Nahin Ki Jise Qiyaamat Ke Din Hauze Kawthar Se Aag Ke Durre Se Dhutkaara Na Jaa’e.”

[1_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/393, Raqam-2405,

2_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/81, Raqam-2726,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/68, Raqam-55.]

4-Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا ……. Raazdaare Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم

images

56_             “Umm-il-Mu’minin Hazrat Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Bayan Karti Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Tamam Azwaaj Jam’a Thi’n Aur Koi Bhi Ghair Haazir Nahin Thi. Itne Me Hazrat Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Waha’n Aa Gayi’n Jin Kee Chaal Bilkul Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Chalne Ke Mushaabeh Thi. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Marhaba (Khush Aamadid) Meri Beti! Phir Unhien Apni Daa’in Ya Baa’in Jaanib Bitha Liya, Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Un Se Chupke Se Koi Baat Kahi To Hazrat Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَاRone Lagi’n, Phir Chupke Se Koi Baat Kahi To Hazrat Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Hansne Lagi’n. Mein Ne Hazrat Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Kaha : Aap Kis Waj’h Se Ro’iyn? Hazrat Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ne Kaha : Mein Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمKa Raaz Ifsha’ Nahin Karoongi. Mein Ne Kaha : Mein Ne Aaj Kee Tarah Koi Khushi, Gham Se Itne Qareeb Nahin Dekhi. Mein Ne Kaha : Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Hamaare Baghair Khushoosiyyat Saath Aap Se Koi Baat Kee Hai, Phir Bhi Aap Ro Rahi Hain, Aur Mein Hazrat Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Poochha : Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Kaya Farmaya Tha? To Unhone Kaha : Mein RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka Raaz Ifsha’ Nahin Karoongi Hatta Ki Jab Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka Wisaal Mubaarak Ho Gaya To Mein Ne Phir Poochha. Hazrat Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ne Kaha : Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne (Pehli Baar) Yeh Farmaya Tha Ki Jibra’il Mujh Se Har Saal Aik Baar Qur’an Majeed Ka Daur Karte They, Aur Is Saal Unhone Mujh Se Do (02) Baar Qur’an Majeed Ka Daur Kiya Hai Aur Mujhe Yaqeen Hai Ki Ab Mera Wisaal Ka Waqt Aa Gaya Hai, Aur Mere Baa’d Mere Ahl Me Se Sab Se Pehle Tum Mujhe Milogi Aur Mein Tumhaare Liye Behtareen Pesh Rau Hoo’n. Tab Mein Rone Lagi, Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Sargoshi Kee Aur Farmaya : Kya Tum Is Baat Par Khush Nahin Ki Tum Tamaam Mu’min Aurto’n Kee Sardaar Ho, Ya Meri Is Ummat Kee Aurto’n Kee Sardaar Ho! To Mein Is Waj’h Se Hans Padi.”

[1_Mulim Fi As-Sahih, 04/1905, 1906, Raqam-2450,

2_Bukhari Fi As-Sahih, 05/3217, Raqam-5928,

3_Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/518, Raqam-1620,

4_Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 04/251, Raqam-7078,

5_Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 05/96, 146, Raqam-8368, 8516, 8517,

6_Nasa’i Fi Fada’il Al-Sahabah/77, Raqam-263,

7_Nasa’i Fi Kitab Al-Wafat,/20, Raqam-02,

8_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/762, 763, Raqam-1343,

9_Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/368, Raqam-2968,

10_Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 01/06, 07, Raqam-05,

11_Tabarani Ne ‘Al-Mu’jam-ul-Kabir (22/416, Raqam-1030)’ Me Hazrat Aboo Tufayl رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Kee Hai.

12_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/419, Raqam-1303,

13_Ibn Jawzi Fi Sifat-us-Safwah, 02/06, 07,

14_Ibn Jawzi Fi Tadhkirat-ul-Khawass,/278,

15_Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 07/218,

16_Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 02/130,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/69_71, Raqam-56.]

57_             “Hazrat Aaishah Siddiqah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Farmati Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Apne Maraze Wisaal Me Apani Saahibzaadi Hazrat Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ko Bulaaya Phir Un Se Kuchh Sargoshi Farmaa’i To Woh Rone Lagi’n. Phir Unhein Qareeb Bula Kar Sargoshi Kee To Woh Hans Padi. Hazrat Aaishah Siddiqah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Farmati Hain :  Mein Ne Us Baare Me Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Se Poochha To Unhone Bataaya : Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Mere Kaan Me Farmaya Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka Isi Maraz Me Wisaal Ho Jaa’ega. Pas Mein Rone Lagi, Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Sargoshi Karte Huwe Mujhe Bataaya Ki Mere Ahl-E-Bayt Me Sab Se Pehle Tum Mere Ba’d Aa’ogi Us Par Mein Hans Padi.”

[1_Bukhari Fi As-Sahih, 03/1361, Raqam-3511,

2_Bukhari Fi As-Sahih, 03/1327, Raqam-3427,

3_Bukhari Fi As-Sahih, 04/1612, Raqam-4170,

4_Muslim Fi As-Sahih, 04/1904, Raqam-2450,

5_Nasa’i Fi Fada’il Al-Sahabah/77, Raqam-296,

6_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/77,

7_Ahmad Bin Hanbal Fi Faza’il-us-Sahabah, 02/754, Raqam-1322,

8_Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/404, Raqam-6954,

9_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 12/122, Raqam-6755,

10_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/420, Raqam-1036,

11_Doolabi Fi Adh-Dhurriyah At-Tahirah,/100, Raqam-185,

12_Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 35/253,

13_Asbahani Fi Dala’il-un-Nubuwwah,/98,

14_Dhahabi Ne ‘Al-Mu’jam Al-Muhaddithin (Saf’h-13, 14,)’ Me Ise Hazrat Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Muttafaque Alayh Hadith Qaraar Diya Hai.

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/71, 72, Raqam-57.]

58_             “Sayyidah Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Farmaati Hain : Mein Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Hamraah Ghar Me Thi, Hum Aapas Me Mizaah Kar Rahe They. Itne Me Sayyidah Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Tashrif Laa’in. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمNe Un Ka Haath Pakda Aur Apne Peechhe Bitha Liya Aur Kuchh Sargoshi Farmaa’i. Mujhe Us Ka Ilm Nahin Ki Kya Sargoshi Thi. Phir Mein Ne Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Kee Taraf Dekha To Woh Ro Rahi Thi’n, Phir RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمMeri Taraf Mutawajje Huwe, Mujh Se Baat Cheet Kee. Phir Un Kee Taraf Mutawajje Huwe Aur Un Se Mizaah Farmaaya Aur Sargoshi Kee. Mein Ne Dekha Ki Fatimah Hans Rahi Hain. Jab Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Uth Kar Baahar Tashrif Le Gaye To Mein Ne Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Se Poochha : Aap Se Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Kya Sargoshio Farmaa’i? Woh Boli’n : Jo Baat Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Mujhe Chupke Se Bataa’i, Mein Aap Ko Nahin Bataa’ungi. Mein Ne Kaha : Mein Aap Ko Allah Ta’ala Aur Qaraabat Daari Ka Waasta Deti Hoo’n. Woh Boli’n : Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Mujhe Apni Wafaat Ka Bataaya Ki Aap Ka Waqt Aa Pahuncha Hai. Pas Mein Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Judaa’i Par Ro Padi, Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Phir Meri Taraf Mutawajje Huwe Aur Mujhe Chupke Se Bataaya Ki Ahl-E-Bayt Me Se Sab Se Pehle Mein Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Se Miloongi. To Mein Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Mulaaqaat Kee (Aas Me) Hans Padi.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/420, Raqam-1035,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/72, 73, Raqam-58.]

5-Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا …… Shajare Risaalat Kee Shaakhe Thamare Baar

 

59_             “Hazrat Miswar رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Hai Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Fatimah Meri Shaakhe Thamare Baar Hai, Is Kee Khushi Mujhe Khush Karti Hai Aur Us Kee Pareshaani Mujhe Pareshaan Kar Deti Hai.”

[1_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/332,

2_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/765, Raqam-1347,

3_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/168, Raqam-4734,

4_Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/362, Raqam-2956,

5_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/25, Raqam-30,

6_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/405, Raqam-1014,

7_Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/203)’ Me Kaha Hai Ki Ise Tabarani Ne Riwaayat Kiya Hai, Aur Ummi Bakr Bint Miswar Par Jirah Kee Gayi Na Kisi Ne Use Thiqah Qaraar Diya, Jab Ki Is Ke Baqiyya Rijaal Ko Thiqah Qaraar Diya Gaya Hai.

8_Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 02/132,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/74, Raqam-59.]

60_             “Hazrat Abdullah Bin Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Marfoo’an Hadith Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : “Mein Darakht Hoo’n, Fatimah Is Kee Tehni Hai, Ali Us Ka Shigoofa Aur Hasan Wa Husayn Us Ka Phal Hain Aur Ahl-E-Bayt Se Muhabbat Kar Ne Waale Us Ke Patte Hain, Yeh Sab Jannat Me Honge, Yeh Haque Hai Haque Hai.”

[1_Daylami Fi Al-Firdaws Bi-Mathoor Al-Khitab, 01/52, Raqam-135,

2_Sakhawi Fi Istijlabu Irtiqa’-il-Ghurafi Bi-Hubbi Aqriba’ Ar-Rasooli SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Wa Dhaw-ish-Sharaf,/99,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/74, 75, Raqam-60.]

6-Ismate Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ke Gawaah …. Khud Muhammad Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم

61_             “Hazrat Abdullah Bin Mas’ood  رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Be Shak Fatimah Ne Apni Ismat Aur Paak Daamani Kee Aisi Hifaazat Kee Hai Ki Allah Ta’ala Ne Us Kee Aulaad Par Aag Haraam Kar Dee Hai.”

[1_Bazzar Fi Al-Musnad, 05/223, Raqam-1829,

2_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/165, Raqam-4726,

3_Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 04/188,

4_Dhahabi Ne Ise ‘Mizan-ul-I’tidal Fi Naqd-ir-Rijal (05/261)’ Me Hazrat Abdullah Bin Mas’ood رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Marfoo’ Qaraar Diya Hai.

5_Manawi Fi Fayd-ul-Qadir Sharh Al-Jami’ As-Saghir, 02/462

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/76, Raqam-61.]

62_             “Hazrat Abdullah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Riwaayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Fatimah Ne Apni Ismat Aur Paak Daamani Kee Aisi Hifaazat Kee Hai Ki Allah Ta’ala Ne Us Kee Ismate Mutahharah Ke Tufayl Use Aur Us Kee Aulaad Ko Jannat Me Daakhil Farma Diya.”

[1_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/41, Raqam-2625,

2_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/202,

3_Manawi Fi Fayd-ul-Qadir Sharh Al-Jami’ As-Saghir, 02/463,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/76, Raqam-62.]

7-Hazrat Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ke Nikaah Ka Hukm Khud Baari Ta’ala Ne Diya

 

63_             “Hazrat Abdullah Bin Mas’ood رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Mujhe Hukm Farmaya Hai Ki Mein Fatimah Ka Nikaah Ali Se Kar Doo’n.”

[1_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/156, Raqam-10305,

2_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/407, Raqam-1020,

3_Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/204)’ Me Kaha Hai Ki Ise Tabarani Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Is Ke Rijaal Thiqah Hain.

4_Halabi Fi Al-Kashf-ul-Hathith, 01/174,

5_Hindi FI Kanz-ul-‘Ummal Fi Sunan Al-Aqwal Wa-Al-Af’al, Raqam-32929, 32891,

6_Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal Fi Sunan Al-Aqwal Wa-Al-Af’al, 13, 681, 682, Raqam-37753,

7_Ibn Jawzi Ne ‘Tadhkirat-ul-Khawass (Saf’h-276)’ Me Hazrat Abdullah Bin Buraydah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwaayat Kiya Hai.

8_Husayni Ne ‘Al-Bayan Wa’t-Ta’rif (01/174, Raqam-455)’ Me Kaha Hai Ki Ise Ibn Asakir Aur Khatib Baghdadi Ne Hazrat Anas Bin Malik رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Kiya Hai.

9_Manawi Fi Fayd-ul-Qadir Sharh Al-Jami’ As-Saghir, 02/215,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/77, Raqam-63.]

64_             “Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Aye Anas! Kya Tum Jaante Ho Ki Jibra’il Mere Paas Saahibe Arsh Ka Kya Paighaam Laa’e Hain? Phir Farmaya : Allah Ta’ala Ne Mujhe Hukm Diya Hai Ki Mein Fatimah Ka Nikaah Ali Se Kar Doo’n.”

[1_Husayni Ne ‘Al-Bayan Wa’t-Ta’rif (02/301, Raqam-1803)’ Me Kaha Hai Ki Ise Qazwini, Khatib Baghdadi Aur Ibn Asakir Ne Hazrat Anas Bin Malik رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayta Kiya Hai.

2_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/71,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/78, Raqam-64.]

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s